dayar-e-jism se sahra-e-jaan tak udun main khak sa aakhir kahan tak kuchh aisa hum ko karna chahiye ab utar aae zamin par aasman tak bahut kam fasla ab rah gaya hai bipharti aandhiyon se baadban tak mayassar aag hai gul ki na bijli andhere mein pade hain aashiyan tak ye jangal hai nihayat hi pur-asrar qadam rakhti nahin is mein khizan tak wahin tak kyun rasai hai hamari nuqush-e-pa zamin par hain jahan tak nikal aao hisar-e-khamushi se jo dil mein hai wo lao bhi zaban tak yahan shaitan pa hai ek larza tari nahin uthta charaghon se dhuan tak