dayar-e-khwab se aage safar karne ka din hai to kya ye qissa-e-jaan mukhtasar karne ka din hai bulawa aa gaya hai phir mujhe sahra-nawardi ka yahi to zindagi ko ham-safar karne ka din hai mujhe raqs-e-junun karna padega sham hone tak mudaraat-e-hujum-e-dida-tar karne ka din hai khizan ki bad-hawasi us ke chehre se hai zahir jahan ko mausam-e-gul ki khabar karne ka din hai ye khashak-e-samaat khak hona chahte hain zaban ko aaj apni shola-gar karne ka din hai hua hai didani manzar zamin se aasman ka qafas mein aarzu-e-baal-o-par karne ka din hai