dayar-e-shab ka muqaddar zarur chamkega yahin kahin se charaghon ka nur chamkega kahan hun main koi musa ki ek sada pe meri wo nur phir se sar-e-koh-e-tur chamkega tere jamal ka nashsha sharab jaisa hai hamari aankhon se us ka surur chamkega bharam jo pyas ka rakkhega aakhiri dam tak usi ke hath mein jam-e-tuhur chamkega ye kah ke dar pe khud ko chadha diya main ne ki dar par bhi sar-e-be-qusur chamkega lute hue hain magar hum abhi nahin mayus hamare taj mein phir koh-e-nur chamkega talash karta hai mujh musht-e-khak mein tu abas ghurur hoga jabhi to ghurur chamkega mata-e-fan se nawaza gaya hai tujh ko 'faragh' isi se nam tera dur dur chamkega