koi bhi khush nahin hai is khabar se ki duniya jald lautegi safar se main sahra mein safina dekhta hun samundar koi guzra hai idhar se sambhaalo apna harf-e-dad-o-tahsin main kab hun mutmain arz-e-hunar se khata hai ye jawaz apni khata ka khataen hoti rahti hain bashar se sabhon mein khamiyan hi dekhta hai wo hai mahrum kya husn-e-nazar se ghazab ka aaega sailab yaro ki guzra hai bahut sa pani sar se bulandi itni bhi achchhi nahin hai utaro ab 'ata' ko dar par se