dayar-e-shab mein nahin wadi-e-sahar mein nahin maqam-e-shauq koi aaj bhi nazar mein nahin sukun-pazir hai jo bahr-e-be-karan dil mein wo ek ashk abhi meri chashm-e-tar mein nahin agarche mausam-e-gul hai magar koi khushbu kisi kali mein kisi phul mein shajar mein nahin ghalat ki mauj-e-bala se hamein gila hai koi baja ki dub gae hum magar bhanwar mein nahin wo zindagi hi meri justuju ka mehwar hai kahin bhi ai gham-e-dil jo meri nazar mein nahin 'kanwal' ko dhundhiye ja kar kisi bayaban mein bahut dinon se wo diwana apne ghar mein nahin