dayar-e-sham na burj-e-saher mein raushan hun main ek umr se apne hi ghar mein raushan hun hujum-e-shab-zadgan se farar ho kar aaj jamal-e-shola-e-sham-e-saher mein raushan hun main muntazir hun to phir muntazar bhi aaega charagh-e-jaan ki tarah rah-guzar mein raushan hun na jaane kab meri hasti dhuan dhuan ho jae main ek saat-e-na-motabar mein raushan hun mere harif-e-sukhan kuchh tujhe khabar bhi hai tere sabab se hisar-e-hunar mein raushan hun nizam-e-gardish-e-dauran mera muqaddar hai main ek sitare ki surat safar mein raushan hun akela jaan ke khud ko na ho udas ki main misal-e-ashk teri chashm-e-tar mein raushan hun mujhe talash na kar meri zat mein 'shahbaz' bahut dinon se jahan-e-digar mein raushan hun