hua chali to nasha chha gaya fazaon mein khayal dub gaya dur ki sadaon mein na hath aae mere daudte hue lamhe safar kata hai mera baadalon ki chhanw mein mein apne shahr ke naqsh-o-nigar bhul gaya kisi ne lut liya mujh ko chat ganw mein na ishq ki koi manzil na husn ka koi taur ye aag kaise giraftar ho wafaon mein ye faslon ke sarabon se sair ho na sake na jaane tishnagi kitni hai mere panw mein qadam qadam pe mujhe sajda-gah nazar aae ghira hua hun main bandon mein ya khudaon mein ise bhi gahe-ba-gahe nigah mein rakhna 'jamil' bhi to hai tere ghazal-saraon mein