dayar-e-shauq mein mujh ko gham-e-sud-o-ziyan kyon ho jo lut jae na rahon mein wo mera karwan kyon ho talluq tark kar ke bhi mere dil mein nihan kyon ho mujhe aazar-e-jaan de kar mera ruh-e-rawan kyon ho ise chahun use chahun jise chahun kisi ko kya zamana mujh se kyon uljhe zamana bad-numa kyon ho nazar chehre pe dali hai magar kuchh sahmi sahmi si hasinon ka ye roab-e-husn un ka pasban kyon ho wahi hai kaif-o-sarmasti wahi lutf aur lazzat hai jahan tera tasawwur hai mai-e-rangin wahan kyon ho jahan shoalon se phulon ke hasin chehre jhulaste hain jahan kante panapte hain wo mera gulistan kyon ho lab-e-gul par tumhin khandan mere dil mein tumhin raqsan ayan ho is qadar jab tum to aankhon se nihan kyon ho 'habib' ab pyar ki wo chandni raaten nahin baqi to us pahli nazar ki yaad bhi dil mein nihan kyon ho