dard minnat-kash-e-darman ho zaruri to nahin zakhm marham ka hi khwahan ho zaruri to nahin dil ki gahrai mein daghon ke chaman khilte hain mera har zakhm numayan ho zaruri to nahin aag hai donon taraf garche barabar ki lagi phir bhi mujh sa wo pareshan ho zaruri to nahin hijr mein tere tasawwur ke maze kya kahne har koi did ka khwahan ho zaruri to nahin muntazir main tere aane ka rahunga har-dam jhuta har ek tera paiman ho zaruri to nahin dil se chahun main jise wo bhi to chahe mujh ko pura aisa kabhi arman ho zaruri to nahin maut aati hai kabhi madar-e-mushfiq ki tarah is se har shakhs gurezan ho zaruri to nahin ishq ne naseh-e-mushfiq ki suni hi kab thi aql hi dil ki nigahban ho zaruri to nahin khete kis waste kashti ko ho sahil sahil na yahan khatra-e-tufan ho zaruri to nahin main samajhta to hun anjam-e-mohabbat ko 'habib' dil is anjam se larzan ho zaruri to nahin