de den abhi kare jo koi khub-ru pasand hum ko nahin pasand dil-e-arzu-pasand manind-e-ashk khak mein aakhir mila diya aai na aasman ko meri aabru pasand tum ne wahan raqib ko pahlu mein di jagah yan rah gaya tadap ke dil-e-arzu-pasand ushshaq se wo puchhte hain tegh tol kar hai zakhm-e-sar pasand ki zakhm-e-gulu pasand qurban is ada ke wo kahte hain ai 'nasim' aaya hai aashiqon mein hamein ek tu pasand