ghaar se sang haTaya to wo Khaali nikla

ghaar se sang hataya to wo khali nikla
kisi qaidi ka na kirdar misali nikla

chadhte suraj ne har ek hath mein kashkol diya
subh hote hi har ek ghar se sawali nikla

sab ki shaklon mein teri shakl nazar aai mujhe
qura-e-fal mere nam pe gali nikla

ras aae mujhe murjhate hue zard gulab
gham ka partaw mere chehre ki bahaali nikla

kat gaya jism magar sae to mahfuz rahe
mera shiraaza bikhar kar bhi misali nikla

raat jab guzri to phir subh hina-rang hui
aasman jagi hui aankh ki lali nikla

raat mujh se bhi to har ghar ke dar-o-baam saje
chand ki tarah mera aks khayali nikla

takht khali hi raha dil ka hamesha 'sajid'
is riyasat ka to koi bhi na wali nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close