de gaya likh kar wo bas itna juda hote hue ho gae be-asra hum aasra hote hue khidkiyan mat khol lekin koi rauzan wa to kar ghut na jae mera dam taza hawa hote hue waqt ne gardan uthane ki na di mohlat hamein apna chehra bhul baithe aaina hote hue khud usi ke ahd mein azm-e-wafadari na tha warna kyun mujh se badalta aashna hote hue gardish-e-dauran ka hum par bhi asar hota zarur hum ne dekha hai magar us ko khafa hote hue jaane kis ke sog mein ye shahr hai duba hua mai-kade sunsan hain kali ghata hote hue