de kar fareb pyas ki aazurdagi ko hum

de kar fareb pyas ki aazurdagi ko hum
aao na ghunt bhar ke piyen zindagi ko hum

khulne lagi hai nind ki bhedon bhari katha
chhune lage hain khwab ki dil-bastagi ko hum

sahra qubul karta hai barish ka indiya
mitti mein gundh lete hain jab tishnagi ko hum

rakh kar hazar aaine us rukh ke ru-ba-ru
dhoka diya karenge teri sadgi ko hum

raqsan hai boznon ki tarah waqt be-takan
takte hain putliyon ki tarah dugdugi ko hum

andar hi apne khak udate hain dur tak
bahar nahin nikalte aawargi ko hum

hajat ke dam girte nahin hain naqab mein
yani hijab karte hain be-pardagi ko hum

sunta tha be-kanar samundar hamari nazm
auron ko bhi sunate rahe dil lagi ko hum

lafzon ki mezbani agar saunp di gai
mehman karenge aap ki sanjidgi ko hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close