khudaya bhej de koi dawa udasi ki jahan mein phail rahi hai waba udasi ki mujhe shadid udasi ka samna hoga so meri man ne sikha di dua udasi ki ek aisi sham-e-sitam aai thi sitaron ne saron pe odhi thi kali rida udasi ki na-jaane kaun sa gham hai miyan-e-dida-o-dil barasti rahti hai paiham ghata udasi ki namaz-e-ishq musalle pe kab ada hui hai aza ka farsh ya karb-o-bala udasi ki meri panah mein aao ai dard ke maro tamam dahr mein gunji sada udasi ki udasiyon ki inayat hai kar-ha-e-sukhan mere liye to jaza hai saza udasi ki ghamon ki dhup se sae mein aa gae 'hashim' magar kisi ne na puchhi 'raza' udasi ki