de ke ehsas-e-tamanna ka bas ek jam mujhe kar diya kis ne rahin-e-gham-e-ayyam mujhe kam se kam tum to na dete koi ilzam mujhe main ne mangi ki mili qismat-e-nakaam mujhe muddaa ye hai ki dam bhar na mile dil ko qarar bheje jate hain jo paigham pe paigham mujhe ab to ehsas-e-tamanna bhi hai bar-e-khatir kis jagah la ke ye chhoda dil-e-nakaam mujhe har tamanna hai meri un ka taqaza goya main wahi kahta hun hota hai jo ilham mujhe un ka 'ashufta' karam rah-numa tha warna chalna mushkil tha rah-e-ishq mein do-gam mujhe