hujum-e-gham mein jina kis qadar sabr aazma hota agar dard-e-mohabbat se ye dil na-ashna hota meri laghzish ne rangin kar diya har naqsh-e-hasti ko yahan hu ka saman hota agar main parsa hota tamanna khud-farebi aarzu hai jaan ki dushman masarrat dil ko dena thi to bas gham hi diya hota ye insan apni duniya ko tabahi se bacha leta agar fikr-e-jaza hoti agar khauf-e-khuda hota karen kya hum bhi hain majbur dil se warna ai hamdam teri har baat sun lete agar dil dusra hota khusha-qismat junun-e-justuju tha sath sath apni wagarna rahnuma ne to hamein bhatka diya hota kahan tha hausla kaise guzarti zindagi ya-rab agar faiz-e-mohabbat ka na dil ko aasra hota bas ek zauq-e-tamanna ne kiya ruswa mujhe warna na taklif-e-fana hoti na arman-e-baqa hota ilaj apne kiye ka kuchh nahin duniya mein 'ashufta' na hum izhaar-e-gham karte na koi khud-numa hota