de ke shahkar khadd-o-khal use kar diya rab ne be-misal use zeb deta hai ye jalal use hai mila aisa hi jamal use wo kisi aur ka hua nikla ab to pana lage muhaal use phul khil uthte hain qadam-ba-qadam kya hasin-tar mili hai chaal use munfarid ho gai hai zat us ki rab ne bakhshe hain wo kamal use jaise main sochta hun us ko bahut kya mera bhi hai yun khayal use har ghadi muzmahil sa hai rahta jaane hai kaun sa malal use