de raha hai samar udasi ka mere dil mein shajar udasi ka pure tan ko bana ke mitti se dil banaya magar udasi ka mujh se ek bar tu sabab to puchh ai mere be-khabar udasi ka tu mudawa na kar sakega kabhi ai mere chaaragar udasi ka aankh viran hai zehn gum-sum hai aur dil hai nagar udasi ka main ne dekha udas nazron se mausamon par asar udasi ka shairi be-sabab nahin utri ye bhi hai ek samar udasi ka kaif-awar tha ibtida mein ishq aur baqi safar udasi ka pahle tum the makin magar ab to dil hai muddat se ghar udasi ka kai jamne lagi hai manzar par ye hua hai asar udasi ka hijr ki shab ka chand aisa tha jaise bu nama-bar udasi ka aankh se ud gaya hai tair-e-naum khwab mein tha guzar udasi ka