main ne roka bhi nahin aur wo thahra bhi nahin hadisa kya tha jise dil ne bhulaya bhi nahin jaane walon ko kahan rok saka hai koi tum chale ho to koi rokne wala bhi nahin kaun sa mod hai kyun panw pakadti hai zamin us ki basti bhi nahin koi pukara bhi nahin be-niyazi se sabhi qarya-e-jaan se guzre dekhta koi nahin hai ki tamasha bhi nahin wo to sadiyon ka safar kar ke yahan pahuncha tha tu ne munh pher ke jis shakhs ko dekha bhi nahin kis ko nairangi-e-ayyam ki surat dikhlaen rang udta bhi nahin naqsh thaharta bhi nahin ya hamin ko na mila us ki haqiqat ka suragh ya sara parda-e-alam mein koi tha bhi nahin