de to rahi ho gyan mohabbat kiya karen khud bhi to meri jaan mohabbat kiya karen pahle hi meri jaan ka dushman hai tera husn us par tera bayan mohabbat kiya karen is ke baghair aap ka dil sach kahun agar khali hai martaban mohabbat kiya karen ladne jhagadne ke liye din bhar ka waqt hai raaton ke darmiyan mohabbat kiya karen khushbu na is ki jaegi ta-umr jism se ho jaen itr-dan mohabbat kiya karen is ke siwa jahan mein shaddad kuchh nahin jhukta hai aasman mohabbat kiya karen ek dusre mein kho gae hain is tarah se hum kis ko hai ab ye dhyan mohabbat kiya karen