na khushi mujhe hi hai wasl ki na hi hijr ka bhi malal hai main hun kaun zat hai kya meri yahi mukhtasar sa sawal hai na safar hai ye jise chahun main ki ye khatm ho bina tere hi tu hai ham-safar to hai thik phir nahin to safar ye muhaal hai ye dhuan kahan se hai uth raha kahin aag to hai lagi nahin to kyun jal rahe yahan sab magar yahi shartiya wo sawal hai tu hai yun chhupa teri zulf mein ki ho mah chhup gaya abr mein mera aarzu tu hi hai sanam tera alhada sa jamal hai jabhi baghban hai ye kah raha ki hai thik sab yahan bagh mein to phir amn bagh mein kyun nahin bhala kaun sa ye wabaal hai