dekh darwaze se mujh ko wo pari-ru hat gai dekhte hi us ke meri jaan bas chat-pat gai tum udhar dhote rahe munh hum idhar rote rahe rote-dhote do ghadi bare maze se kat gai gard-e-kulfat bas-ki chhai dil se ta aaankhon talak nahr thi jari jo aaankhon ki mere so pat gai ji ada ne zulf ne dil hosh ghamzon ne liya jins-e-hasti apni sab ghaarat mein aa kar bat gai parde hi parde mein dil ko khak kar dala mere is ada se wo pari munh par liye ghunghat gai zulf gar chhidri hui tere to mat kha pech-o-tab kya hua az-bas uthae bojh dil ke lut gai kal jo mera khush-nigah guzra chaman se ai 'hasan' mund li baadam ne aankh aur nargis kat gai