ishq se paida nawa-e-zindagi mein zer-o-bam ishq se mitti ki taswiron mein soz-e-dam-ba-dam aadmi ke reshe reshe mein sama jata hai ishq shakh-e-gul mein jis tarah baad-e-sahar-gahi ka nam apne raaziq ko na pahchane to muhtaj-e-muluk aur pahchane to hain tere gada dara o jam dil ki aazadi shahanshahi shikam saman-e-maut faisla tera tere hathon mein hai dil ya shikam ai musalman apne dil se puchh mulla se na puchh ho gaya allah ke bandon se kyun khali haram