dekh dil ko mere o kafir-e-be-pir na tod ghar hai allah ka ye is ki to tamir na tod ghul sada wadi-e-wahshat mein rakhunga barpa ai junun dekh mere panw ki zanjir na tod dekh tuk ghaur se aaina-e-dil ko mere is mein aata hai nazar aalam-e-taswir na tod taj-e-zar ke liye kyun shama ka sar kate hai rishta-e-ulfat-e-parwana ko gul-gir na tod apne bismil se ye kahta tha dam-e-naza wo shokh tha jo kuchh ahd so o aashiq-e-dil-gir na tod raqs-e-bismil ka tamasha mujhe dikhla koi dam dast o pa mar ke dam tu tah-e-shamshir na tod saham kar ai 'zafar' us shokh kaman-dar se kah khinch kar dekh mere sine se tu tir na tod