ab wo mahki hui si raat nahin baat kya hai ki ab wo baat nahin phir wahi jagna hai din ki tarah raat hai aur jaise raat nahin baat apni tumhein na yaad rahi khair jaane do koi baat nahin kuchh nahin hai to yaad hai un ki un se tark-e-talluqat nahin phir bhi dil ko badi umiden hain go ba-zahir tawaqquat nahin ishq hota hai khud-ba-khud paida ishq ke kuchh lawazimat nahin aise 'fazli' ke sher kam honge jin mein kuchh dil ki wardat nahin