dekh husn-e-yar ki ranaiyan ku-ba-ku aashiq ki wo ruswaiyan bazm mein auron ke hain wo jalwa-gar aur nasibe mein mere tanhaiyan umr sari thi haqiqat ki talash mujh ko manzil par milin parchhaiyan ashk dukh majnun ki qismat the to kyon husn-e-laila pa gaya zebaiyan sog hai aashiq ka ku-e-yar mein baj rahi hain sham se shahnaiyan 'akhtar' un ki yaad se aabaad dil rashk-e-bazm-e-ghair ye tanhaiyan