jis ki hamein talash thi manzil yahi to hai

jis ki hamein talash thi manzil yahi to hai
is kaenat-e-husn ki mahfil yahi to hai

nazron ki tab laen ki thamen wo jam-e-mai
saqi jahan mein rind ki mushkil yahi to hai

ab tir hai kaman mein na khanjar hai hath mein
phir bhi hamari jaan ka qatil yahi to hai

dekhi thi us ke husn ki aankhon se ek jhalak
tera asir tab se hua dil yahi to hai

arse se ahl-e-sidq-o-safa ke liye hai dar
sach bolne ka dahr mein hasil yahi to hai

maujon se bach ke nikle to ye karwan-e-dil
tufanon se ghira hua sahil yahi to hai

dawa hai us ko ishq ka kuchh aazmaiye
'akhtar' hai ye sazaon ke qabil yahi to hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close