dekh jurm-o-saza ki baat na kar mai-kade mein khuda ki baat na kar main to be-mehriyon ka aadi hun mujh se mehr-o-wafa ki baat na kar shauq-e-be-muddaa ka mara hun shauq-e-be-muddaa ki baat na kar wo to muddat hui ki tut gaya mere dast-e-dua ki baat na kar jo nahin ikhtiyar mein mere us but be-wafa ki baat na kar ishq ki intiha ko dekh zara ishq ki ibtida ki baat na kar kya mila fikr ki rasai se meri fikr-e-rasa ki baat na kar is ki taqdir mein kharabi thi is dil-e-mubtala ki baat na kar jo bhi hona tha ho gaya 'shoala' karam-e-nakhuda ki baat na kar