ishq ho jaun pyar ho jaun main jo khushbu-e-yar ho jaun jab bhi niklun main dhundne us ko dhul mitti ghubar ho jaun us ke wade ka e'tibar karun phir shab-e-intizar ho jaun odh lun us ki yaad ki chadar aur khud par nisar ho jaun main tera mausam-e-khizan pahnun aur fasl-e-bahaar ho jaun ek shab us ko is tarah dekhun daman-e-shab ke par ho jaun jo hawa tujh ko chhu ke aae main us ko chhu lun bahaar ho jaun jis ghadi us ka aaina dekhun us ghadi aks-e-yar ho jaun phul tankun libas mein us ke main agar dastkar ho jaun us ka kajal laga ke aankhon mein masti-e-chashm-e-yar ho jaun chahta wo bhi hai yahi 'afroz' aag pi lun sharar ho jaun