dekh kar izn-e-tarab saqi-o-maiKHane ka

dekh kar izn-e-tarab saqi-o-maikhane ka
jhuk ke munh chum liya shishe ne paimane ka

saz-e-ishrat se nikalti hai sada-e-matam
kya ye duniya hai muraqqa mere gham-khane ka

nazar aati hai har ek but mein khuda ki surat
silsila kabe se milta hai sanam-khane ka

aaj wo mahfil-e-aghyar mein aata hai nazar
dil mera aaina hai jis ke pari-khane ka

haram-o-dair mein kis tarah lage dil us ka
jis ki nazron mein ho naqsha tere kashane ka

'bedil' is tarah se kuchh umr basar ki main ne
zindagi ka hua itlaq na mar jaane ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close