ye sab surud-e-KHwab hai ye nafa kya ziyan kya

ye sab surud-e-khwab hai ye nafa kya ziyan kya
kamal kya zawal kya yaqin kya guman kya

ho farsh tapti ret ka ya makhmali libas ho
ki sar-phiron ke waste ye dasht kya makan kya

jo sina chir-phad kar na dil ko chir-phad de
wo husn kya wo aankh kya wo tir kya kaman kya

meri dua hai ya-khuda meri ye aas tod de
jo dil ki tarjuman na ho to munh mein ye zaban kya

hun us ki yaad mein magan mujhe na falsafe suna
sawab kya azab kya namaz kya azan kya

fasil-e-zist par khada alam liye nasib ka
main khud se puchhta raha hai meri aan-ban kya

kalim meri baat ka jawab us se puchhna
jo main tumhaara nur hun to did ka guman kya

kisi ke khwab todne se pahle itna sochna
ujad gaya jo bagh hi karega baghban kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close