dekh kar kurte gale mein sabz dhani aap ki dhan ke bhi khet ne ab aan mani aap ki kya tajjub hai agar dekhe to murda ji uthe chain nefa ki dhalak pedu pe aani aap ki hum to kya hain dil farishton ka bhi kafir chhin le tuk jhalak dikhla ke phir angiya chhupani aap ki aa padi do-sau baras ke murda-e-be-jaan mein jaan jis ke upar do ghadi ho mehrbani aap ki ek lipat kushti ki hum se bhi to kar dekho zara han bhala hum bhi to jaanen pahlwani aap ki chhalle ghairon pas hai wo khatam-e-zar ai nigar hai hamare pas bhi ab tak nishani aap ki