shab-e-hijr aah kidhar gai kahun kis se nala kidhar gaya jo guzar gai wo guzar gai jo guzar gaya wo guzar gaya jo tumhaari aankh se gir pada jo tumhaare dil se utar gaya wo gharib jite-ji mar gaya wo kahan gaya wo kidhar gaya koi apne bachne ka dhab nahin koi zindagi ka sabab nahin mere pas dil bhi to ab nahin wo idhar gae ye udhar gaya koi dard ho to dawa karun na bane dawa to dua karun use kya kahun use kya karun ki main un ke dil se utar gaya use dil-lagi ka maza mila use aashiqi ka maza mila use zindagi ka maza mila jo teri adaon pe mar gaya koi dost hai ki ghulam hai koi ye bhi tarz-e-kalam hai wo kahan gaya wo kahan gaya wo kidhar gaya wo kidhar gaya tere zulm aur sitam sahe tere jaan-nisar bhi hum rahe na raqib jis ko har ek kahe ki teri jafaon se dar gaya rahe kyun na sine mein dam khafa ye naya sitam hai nai jafa kahun kya safi' koi bewafa mere dil ko le kar mukar gaya