dekh kar log hue shashdar-o-hairan mujhe tu kahan hai shab-e-gham aan ke pahchan mujhe qais-o-farhad har ek gam pe aate hain nazar jaane kis dasht mein laya mera wijdan mujhe waqt ka hai ye taqaza ki main ab chup na rahun aap kyun dekh ke hone lage hairan mujhe ab to har phul bhi kante se siwa lagta hai gulshan-e-zist nazar aata hai viran mujhe aap ke jaane se mahsus kiya hai dil ne zindagi chhod gai be-sar-o-saman mujhe mushkilen meri tabiat ko hain marghub bahut zindagi chahiye hargiz nahin aasan mujhe