waqt ne dil ki tabiat mein wafa rakkhi hai kulfat-e-agahi phir us ki saza rakhi hai dil ho pazhmurda to hai khanda-e-gul be-mani har khushi aur ghami dil ne chhupa rakkhi hai chaak karti hai saba subh ko ghunchon ke jigar ye kahani mujhe shabnam ne suna rakkhi hai ghunche ghunche mein hai poshida salib-e-gham-e-dost kis ne phulon mein ye qatil ki ada rakkhi hai kis ke chhup jaane se hairan hui hai duniya kis ke jalwon ne ye diwani bana rakkhi hai zindagi ho gai kis tarah tu itni sasti kis liye tu ne bhari duniya sata rakkhi hai ilm se jis ke mujhe mil sake manzil ka nishan waqt ne mujh se wahi baat chhupa rakkhi hai hum ne har mod pe chahat ke jalae hain charagh hum ne har gam pe ulfat ki bina rakkhi hai tafraqon ka nahin aapas mein kahin koi jawaz sab ne auham ki diwar utha rakkhi hai dard-e-hijran ke tasalsul se na ghabra dil-e-zar ishq ne dard ke andar hi dawa rakkhi hai waqt le aaya hai khud had mein use der sawer jis ne bhi qad se siwa apni ana rakkhi hai us sitamgar ka mein ai 'raaz' karun kya shikwa har bala mere liye jis ne rawa rakkhi hai