dekh kar us ko nahin hosh mein aaya jata khud-bakhud dil mein hai ek shakhs samaya jata us ke didar ki pyasi thin nigahen us ki kash bimar-e-mohabbat na sataya jata hum to har haal mein raazi-ba-raza the lekin man jata ba-khushi wo to manaya jata jis ne na-waqt bujha di meri sham-e-ummid mujh se wo wada-shikan kaise bhulaya jata pher leta na agar dekh ke aankhen mujh se dil se dil hath se phir hath milaya jata us ki mahfil mein kami ka tha sabhi ko ehsas hota aane ko wo raazi to bulaya jata jaane kyon pyar ke dushman hain zamane wale aasman sar pe nahin aise uthaya jata hai ye kirdar-kushi is ko sahafat na kahen kar ke badnam nahin nam kamaya jata mahfil-e-aish-o-tarab mein nahin ab ji lagta hote gar sath jo tum jashn manaya jata kho diya tu ne waqar apna meri nazron mein kar ke ehsan nahin aise jataya jata be-gunahi ki saza deni na hoti jo mujhe takhta-e-mashq-e-sitam kaise banaya jata shukriya aa gae tum waqt pe milne warna bar-e-gham kaise akele ye uthaya jata mere walid ka tasarruf hai mera arz-e-hunar warna main bazm-e-adab mein nahin paya jata misra-e-tarah se haali ke qalam tha marub warna kuchh zor-e-qalam apna dikhaya jata bad-gumani ka guzar hota na dil mein 'barqi' rasm-e-ulfat ko hamesha jo nibhaya jata