be-sud hai guftar jo kirdar nahin hai kirdar ho to hajat-e-guftar nahin hai ai dil-jalo ye ashk yahan dekhta hai kaun ahl-e-jahan ko in se sarokar nahin hai kya jaane dard-e-dil ki ye duniya hai sang-dil ye dard yahan laeq-e-izhaar nahin hai kyun apne dil mein tum liye phirte ho murawwat is ka jahan mein koi kharidar nahin hai sara jahan samet le to phir bhi tere pas kuchh bhi nahin jo ek dil-e-bedar nahin hai duniya mein bahut lazmi hai azm-e-musammam ye ho to koi marhala dushwar nahin hai dil mein na dard ho to kahan shairi bhi ho kya dard hi sarmaya-e-ashaar nahin hai mazlum ki har aah hilati hai arsh ko ye aah to jati kabhi be-kar nahin hai insaniyat ke dard ka hai tarjuman bashir ye be-murawwati ka rawadar nahin hai