dekh ke arzan lahu surkhi-e-manzar khamosh bazi-e-jaan par meri tegh bhi shashdar khamosh aks mera muntashir aur ye aalam ki hai ek ek aaina chup ek ek patthar khamosh tegh-e-nafas ko bahut naz tha raftar par ho gai aakhir mere khun mein naha kar khamosh arsa-e-hairat mein gum aaina-khane mere khema-e-mizhgan mein hain khwab ke paikar khamosh khauf se sab dam-ba-khud fikr se chehre udas mauj-e-hawa kyun hai chup kyun hai samundar khamosh koi alamat to ho koi nishan to mile kyun hai lahu be-sada ho gae kyun sar khamosh