main apni haisiyat se kuchh ziyaada le ke aaya hun main qatra hun magar hamrah dariya le ke aaya hun mujhe bhi kuchh attar kar de ujala bantne wale teri khidmat mein tamhid-e-tamanna le ke aaya hun tumhaari aankh ke raste tumhaare dil mein utrunga main azm-o-hausla pukhta irada le ke aaya hun ajal ne kaam apna kar diya rishwat nahin khai main kafi der tak chikha ki paisa le ke aaya hun chale aao ki pahle ki tarah matam karen mil kar main apne dil ke armanon ka lasha le ke aaya hun mujhe har haal mein tarikiyon ka sar kuchalna hai hatheli par uga kar chand tara le ke aaya hun meri tahrir se 'saghar' abhi tak khun tapakta hai main in kaghaz ke tukdon mein kaleja le ke aaya hun