dekh ke mujh ko hans deta hai dushman bhi kya khub mila hai shayad us ko gham ka dar hai jab dekho hansta rahta hai hum ne to dhaali hai jannat tum ne bas sapna dekha hai us ka nam kisi se sun kar kitne zor se dil dhadka hai aane wala har pal hum ko parbat sa uncha lagta hai sab ke chehre zard se kyun hain phulon ka mausam aaya hai