jahan-dar jitni bhi sazish karega khuda hum pe rahmat ki barish karega ye shishe ki aankhen ye patthar ke chehre mera dard kis se guzarish karega kisi ka jo hamdard hoga zamin par bahut gar kare to sifarish karega ajab chiz hai ye hunar ka khazana na jis ko mile wo numaish karega ghazal jo bhi dekhega 'sultan' sahab kahani ki wo kya sataish karega