dekh lail-o-nahaar se bahar

dekh lail-o-nahaar se bahar
zindagi hai qatar se bahar

aise koi khumar mein bhi nahin
jaise hum hain khumar se bahar

kahf walon se thak chuka tha main
aan baitha hun ghaar se bahar

hum guzishta zamanon ke aashiq
ho rahe hain shumar se bahar

khul ke hansiyo nashe ki haalat mein
gham hi gham hain khumar se bahar

dad banti hai phul ki 'asif'
jo khula hai bahaar se bahar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close