hijr aasan bana liya hum ne dasht mein dil laga liya hum ne sans aadha tumhaare sath liya aur aadha bacha liya hum ne tera gham tha masih o mehdi hamein is ko zinda utha liya hum ne pani se tod ya utha tesha dil ko patthar bana liya hum ne zikr aaya tumhaari nagri ka aur sar ko jhuka liya hum ne koi aafat zarur tuti hai jab bhi nam-e-khuda liya hum ne