dekh lete hain ab us baam ko aate jate ye bhi aazar chala jaega jate jate dil ke sab naqsh the hathon ki lakiron jaise naqsh-e-pa hote to mumkin tha mitate jate thi kabhi rah jo ham-rah guzarne wali ab hazar hota hai us rah se aate jate shahr-e-be-mehr! kabhi hum ko bhi mohlat deta ek diya hum bhi kisi rukh se jalate jate para-e-abr-e-gurezan the ki mausam apne dur bhi rahte magar pas bhi aate jate har ghadi ek juda gham hai judai us ki gham ki miad bhi wo le gaya jate jate us ke kuche mein bhi ho, rah se be-rah 'nasir' itne aae the to aawaz lagate jate