samajh ke farz kabhi din ko raat mat karna guzarte lamhon se taqsim zat mat karna bacha kar tez hawa mein bikharna padta hai ana ko nazar gham-e-hadsat mat karna na jaane kaun kahan kya sawal kar baithe ghubar-e-rahguzar apne sath mat karna sametna na sar-e-rah khwab ki kirchen lahu-luhan kabhi apne hath mat karna nahin gunah kisi shai ki aarzu lekin is aarzu ko gham-e-kaenat mat karna hain darmiyan mein abhi fasle usulon ke qarib aa ke abhi mujh se baat mat karna zawal-e-zat to 'parwaz' sab ki qismat hai yaqin-e-dil ko magar be-sabaat mat karna