dekh o qatil basar karte hain kis mushkil se hum

dekh o qatil basar karte hain kis mushkil se hum
chaaragar se dard-e-nalan dard se dil dil se hum

hae kya be-khud kiya hai ghaflat-e-umid ne
haal-e-dil kahte hain apna phir usi qatil se hum

rashk aada ne kiye raushan badan mein ustukhwan
sham-e-mahfil ho ke utthe aap ki mahfil se hum

is ko kahte hain wafadari ki baad-az-qatl bhi
dagh-e-khun ho kar na chhute daman-e-qatil se hum

tul thi rah-e-adam ghabra ke soe qabr mein
panw phailae thake jab duri-e-manzil se hum

jism-e-raushan se nazar aate hain jalwe ruh ke
husn-e-laila dekhte hain parda-e-mahmil se hum

khali az ehsan nahin ye bhi ki waqt-e-iztirab
khush to ho jate hain tere wada-e-baatil se hum

aao aapas mein samajh len ghair kahe ko sune
tum kaho dil se hamare kuchh tumhaare dil se hum

sun ke ro dete hain aksar surat-e-zakhm-e-jigar
aap sharmate hain apne khanda-e-baatil se hum

rashk hai hasrat pe us ki dil mein aata hai yahi
apne qalib ko badal len qalib-e-bismil se hum

sina-e-dil mein hujum-e-dagh-e-hasrat hai 'nasim'
phul chun lete hain apne gulshan-e-hasil se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close