dekh pae to kare koi pazirai bhi main tamasha bhi hun aur us ka tamashai bhi kaun samjhe meri aabaadi-o-virani ko jhil ki sath pe kashti bhi hai aur kai bhi qafas-e-wasl mein sab shor hamara to nahin phadphadata hai bahut tair-e-tanhai bhi ab udasi kisi derina nashe ke manind meri kamzori bhi hai aur tawanai bhi kitni lahren thin jo mushtarka thin hum donon mein so tere sath hui kam meri gahrai bhi ab main kanon pe rakhun hath ki aankhon pe rakhun shor itna hai ki le jaega binai bhi bansuri ki wahi aawaz sunate hain mujhe dhol bhi piano bhi sarangi bhi shahnai bhi main ne tohfe mein nae ranj ki chadar 'shaariq' sirf lai hi nahin khud use pahnai bhi