dil ki baat zaban par lao phir dekho

dil ki baat zaban par lao phir dekho
hum ko apna haal sunao phir dekho

hum teri baaton mein bhi aa sakte hain
sach mein thoda jhut milao phir dekho

suraj chand sitare tod ke la dunga
thodi si ummid dilao phir dekho

wahshat hu ka aalam sannata aur gham
tum apne atraf sajao phir dekho

tum ne us ka kahna yunhi man liya
kuchh apna bhi zehn ladao phir dekho

is chehre ke pichhe kitne chehre hain
aaine ke samne aao phir dekho

waise aksar bante hain suqraat yahan
tum logon ko zahr pilao phir dekho

ujdi basti walo himmat na haaro
koi zinda shahr basao phir dekho

har khwahish puri ho ye na-mumkin hai
phir bhi tum kuchh khwab sajao phir dekho

'sadi' wo tute hue dil ki sunta hai
us ke dar se aas lagao phir dekho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close