dekh qindil rukh-e-yar ki jaanib mat dekh tez talwar hai talwar ki jaanib mat dekh bol kitni hai tere samne qimat meri chhod bazar ko bazar ki jaanib mat dekh dekhna hai to mujhe dekh ki main kaisa hun mere ujde hue ghar-bar ki jaanib mat dekh aur badh jaegi tanhai tujhe kya malum aisi tanhai mein diwar ki jaanib mat dekh aage nikla hai to phir aage nikalta chala ja pichhe hatte hue salar ki jaanib mat dekh tu mere samne aaya hai to phir dekh mujhe meri tuti hui talwar ki jaanib mat dekh tu kahani ke badalte hue manzar ko samajh khun rote hue kirdar ki jaanib mat dekh tera dil hi na kahin kat ke rakh de 'azhar' aankh se girti hui dhaar ki jaanib mat dekh