khud se ab mujh ko juda yun hi meri jaan rakhna har ghadi khwab ko tum khwab-e-pareshan rakhna ab ibaadat ki yahi ek hai surat baqi aankh ko band kiye hont sana-khwan rakhna khwab ko zehn kahan hai na yahan hai na wahan dil ke aangan mein kahin gor-e-ghariban rakhna barahna rahne ki taufiq kahan se lae khud ko aaya hi nahin be-sar-o-saman rakhna rah chalte hain to diwar utha lete hain kitna dushwar hai aasan ko bhi aasan rakhna kya saliqa tha wo 'ghaalib' hon ki hon 'mir'-o-'firaq' hijr mein wasl ka wo naqsh-e-gurezan rakhna